Hot Posts

6/recent/ticker-posts

My Blogging Journey

My Blogging Journey

JoinHindi.Com Aaj Apna Blog Bana Raha Hun Aur Aaj Aapko Bataunga Ki Meri Blogging Journey Kaise Rahi Hai Kaise Maine Socha Ki Blogging Start Karu Sabse Pahle Kaise Maine Blogging Karna Sikha Aapko Meri Blogging Journey Ki Sabse Aham Bate Aapko Aapke Sath Share Karunga,Log Blogging Apne Shonk Ke Liye Karte Hai Maine Blogging Ko Start Karne Se Pahle Kya Socha Aapko Age Bataa Hum.


Maine Blogging Ko Kyo Chuna.


Bahut Se Blogger Apna Time Pass Ya Un Ka Shonk Ke Liye Chunte Hai Har Koi Paise Ke Liye Nahi Chunte Main Aapko Batata Hun Ki Maine Blogging Ko Chuna Sirf Or Sirf Paise Kamane Ke Liye Chuna Kyonki Sab Se Badi Problem Meri Family Problem Hai Aur Sath Main Blogging Mera Shonk Bhi Hai Is Liye Maine Blogging Ko Chuna Han Manta Hun Ki Dusre Bloggers Mante Honge Ki Blog Paise Kamane Ke Hisab Se Banana Ek Murkhta Hai Par Wo Kya Bhi Sochte Honge Main Un Par Dhyan Nahi Dete Wo Kuch Bhi Bole. 

Blogging Kaise Start Ki? 


Blogging Ka Bare Me Mere Man Me Khyal To 2015 Main Hi Aaya Tha Par Us Samay Mujhe Blog Banane Ke Bare Me Pata Nahi Tha Fir 2016 Main Vikas Sahu (Sahu4You) Ke Bare Me Suna Main Jis School Main Padhta Tha Us Me Vikas Sahu Ka Friend Mere Sath Padhta Tha Bas Sahu Bhai Ke Bare Main Suna Fir Bat Aai August 2017 Ki Fir Main Ek Blogger.Com Par Ek Chota Sa Blog Banaya Aur Sahu Bhai Ko Dikhaya Wo Un Ko Achha Laga Parntu Fir Vikas Sahu Ne Mujhe Ek Blog Par Blogging Ke Bare Mein Sikhya Kya Blog Hota Hai Kaise Kaam Karte Hai Ye Sab Bataya Or Aur Fir Kuch Samay Baad Achhe Content Likhne Laga. 

Fir Aaya Sahu4You.Com Par Or Content Likhne Laga  Aise Hi Maine Ek Site Or AnyTechinfo.Com Par Bhi Kaam Kiya Aur Ab March,2018 Me Vikas Sahu Ne Mujhe Naya Blog Banane Ke Liye Motivate Kiya Ki Bahi Tu Apna Khud Ka Blog Bana Tu Kudh Kuch Kar Sakta Hai, Ab Aapko Aage Bataunga Ki Kya Kya Problem Aai Aur Un Ka Kaise Samna Kiya Aapko Aage Batata Hun.

Apna Khud Ka Blog Banane Ki Kahani. 


Vikas Sahu Ne Bataya Ki Apna Khudh Ka Blog Bana Fir Maine Bhi Socha Ki Blog Banau Apna Khud Ka Blog Parantu Aage Mere Liye Sab Se Badi Problem Ye Aai Ki Domain Name Kya Rakhu Ab Maine Kaiyo Se Pucha Ki Or Unhone Mujhe Bataya Parntu Mijhe Pasand Nahi Aaya Fir Soch Vichar Kar Ke JoinHindi Ko Select Kiya. 

Vikaa Sahu! Kon Hai? 


Aap Bhi Sochte Honge Ye Vikas Sahu Kon Hai?! Me Bhi Pahle 2016 Me Sochta Tha Yaar Ye Vikas Sahu Kon Hai? Parntu Mujhe Pta Nahi Tha Ki Ek Din Vikas Sahu Mera Friend Se Badkar(Bhai) Ban Jayega Mera Oe Vikas Ka Milna Mere Friends (Sorabh Bhambhu, Brijmohan Chhimpa) Se Hua Jo Ki In Ka Friend Tha, Aap Agar Blogger Hai To Aap Bhi Vikas Sahu Ko Jante Hi Honge Agar Aap Nahi Jante Hai To Aapko Batadu Ki Vikas Sahu Sahu4You.Com Ka Owner Hai Aur Mere Bhai Se Bhi Badkar Hai. 

Domain Khridte Samay Problems Aur Us Se Pahle Ki Problems 


Mere Blogging Journey Me Mere Samne Kuch Problems Aai Aapko Wo Main Aapke Sath Share Karta Hun

Problem-1  Content Likhte Samay Words Aur Keywords Ka Aadha Adhura Gyan

Ji Han Blogging Start Karne Ke Baad Mere Samne Ye Bhi Problems Thi Jab Me Contant (Post) Likta Tha To Sab Se Jyada Problems Aati Thi Jab Main Post Likhta Tha To Mere Words Ki Galtiya Aur Keyword Ka Aadha Adhura Gyan Tha Aur Fir Kuch Dosto Ne Mujhe Bataya Galtiyp Ko Bataya Jis Se Ye Problem Dur Larne Laga. 

Problem-2 Mobile Se Blogging Wo Bhi Kisi Dost Ke

Dusri Problem Ye Bhi Thi Aur Ab Bhi Ye Problem Hai Ki Mere Pass Khud Ka Mobile Na Hona Jab Maine Blogging Me Per Rakha Tha Tab Bhi Mere Pass Andriod Mobile Nahi Tha Main Apne Dost Ke Mobile Se Blogging Start Ki Thi Jis Karan Main Site Par Online Nahi Rah Pa Raha Hun Family Problems Ke Karan Mobile Nahi Hai Par Kahte Hai Na Sabar Ka Fal Mitha Hota Hai Kya Malulm Mitha Hi Ho Karte Hai Wait Jab Tak Na Aa Jaye Mobile.....!
Problem-3  Domain Ke Liye Paise

Domain .Com Kharidne Ke Liye Sab Se Badi Problems Mere Samne Ye Thi Ab Maine idhar Udhar Se Paiso Ko Jugad Banana Chaha Parntu Fir Dubara Sites Par Kaam Karne Laga Fir Kuch Paise Mile Aur Fir JoinHindi.Com Aaj Kharid Liya. 

Is Ke Alawa Blogging Start Karte Samay Mere Pass Bahut Problems Aai Parntu Us Ka Samna Maine Dat Ke Samna Kiya, Aur Blogging Start Karte Samay Bahut Se Friends (Bhaio) Ne Mera Sath Diya Un Ka Bahut Bahut Dhanywad

    "Agar Aap Koi Kaam Start Karte Hai
    To Aapke Samne Bahut Sari
    Problems Aayegi Aap Un Ka Samn
    Kare Un Problems Ke Samne Jhuke
    Nahi"  -Harsh Yadav 

Special Thanks- Meri Is Blogging Journey Me Mere Bhaio Ka Bahut Bahut Sath Diya Un Ka Bahut Bahut Dhanywad
Thanks
1. Viksa Sahu
2. Briju Choudhary(Brijmohan) 

Umeed Karta Hun Ki Meri Ye Post Aapko Bahut Achhi Lagi Hogi Aaj Maine Aapko Meri Is Post Me Aapko Meri Blogging Journey Kaise Start Ki Aur Kya Kya Problem Aai Aapko Ye Sab Aapko Batai Agar Aapko Meri Ye Post Achhi Lagi To Comment Jarur Kare. 




Post a Comment

2 Comments